मंगलवार, 9 अक्तूबर 2012

लाचारी

kudrat ne mera aisa majak bana diya na jeene mein naa marne mein,


marne ki sochta hoon to wo chehre yaad aa jate hai jinke liye jeevan mein kuch nahi kiya aur jeene ki sochta hoon to har pal koi na koi meri lachaari ka majak udata mil jata hai aisa dard akhir kab tak jhelna padega. meri galti kya hai ki mein kaminepan ki zindgi nahi g sakta mene bahut koshish ki bura bhi banane ki par jane kaun c takat mujhe mana kar deti hai. rok deti hai mujhe. berojgaari ya bekkaari ne mujhe aisa bana diya ki mujhe kuch najar nahi aata. kash ye akal 2003 mein aa jati jab jetking se course kiya tha tab job kar leta to aaj kisi ke muh ko takna aur kisi ki jali kati nahi sunani padti wo log bahut ache hote hai jo parivaar ki sunte hi nahi. jinki dhun baspaisa kamana hoti hai akhir mein unko hi duniya salam karti hai. mujhe shakti do bhagwaan aur sadbudhi taaki mein in kathin daur ko aasaani se paar kar sakoon,

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें

कड़वे शब्द बोलता हूँ