रविवार, 2 सितंबर 2012

Dard

Dooba rom rom mera teri yadon mein.  Har pal rahti ho meri fariyadon mein.

Jane kyon mujhe dard dene aur dard hone ka gourav mila hai kudrat se. Har din har lamha,  har pal bus ehsaas karaya jata hai ki mein bahut bura insaan hoon.  Meri acchai bhi meri khamiya ban gayi,  meri jaise ki rooh hi jal gayi ho,  khushi ki to shayad lakeere hi nahi di mujhe halanki mein doston ki mehfil mein khushiyon ki talash mein jata hoon par wahan bhi nirasha hi milti hai. Dosto ki mehfil mein bhi mein majak lagta hoon kyon ki na un jaisa ban pata hoon aur naa khushi milti.  Har mehfil aur har jashan mein khushi ke mayne alag hi hote hai.  Isliye mujhe jo khushi chaihiye mujhe khud nahi pata isliye milti nahi.  Mere apne mujh se itne dukhi hai zindgi se nikal jane ki batein karte hai.  Mera aham ya swabhimaan ya nirkunsh ya nikkma ya koi bhi naya naam mujhe naya nahi lagta is fast jamane mein mere jaise machine ki koi jaroorat nahi.  Mujhe to sirf aap apni bhadas ya apna
Yahan shayad apna ya apnepan jaisa kuuch jeevan mein baaki nahi

कड़वे शब्द बोलता हूँ